Muqammal Qisse (LIVE)

Ashwin Alok

0 fans

Ashwin Alok


8:08

 Become A Better Singer In Only 30 Days, With Easy Video Lessons!

Wo kavita
Jo sadiyon se gunguna raha hun
Gaur farmaiyega
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Jo hui thi mulakat, usko mukammal karte hain
Fir kuch pal tumko sawalon mein uljha kar
Tumhare husn ka deedar karte hain
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Shayad dekha nahi tumne meri aankhon mein
Shayad suna nahi meri dhadkano ko
Ye Jo seene mein ek aag uthi hai
Tere hone se usko khatm karte hain
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Na tumne aur maine bhi
Kabhi aisa socha toh nahi tha
Par ab jo ho gaya hai pyaar
Tumse iqraar-e-mohabbat karte hain
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Tumko dekhe se aa jaati hai munh par raunak
Tumko sunne par ho jaata hai dil gulzar
Tumko dekhe se aa jaati hai munh par raunak
Tumko sunne par ho jaata hai dil gulzar
Kuch der tumhari zulfon mein panah lete hain
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Jahan hui thi mulakat, fir se wahin milte hain
Aur kuch pal tumko sawalon mein uljha kar
Tumhare husn ka deedar karte hain
Chalo aao kuch guftagu karte hain
Ladki ko coffe bahut pasand thi aur ladke ko
Chai
Toh ik subah
Ladka chai banane gaya toh usne aaj socha ki
Aaj chai ki jagah coffee pi jaayegi
Toh
Dikkat ye thi ki ghar mein dudh khatm ho gaya tha
Uspar usne ye likha ki
Aaj dudh khatm ho gaya tha
Fir coffee kaali banayi maine
Tumhari yaad aane lagi
Ki tum hoti toh tumhare liye bhi banata
Tumhe pasand hai na kaali coffee?
Har ek ghoont par tum yaad aati rahi
Har ek 'aah par dil thar-tharata raha
Lab aapas mein jude nahi, aur
Khamoshiyon ki dhun par main muskurata raha
Mujhe yaad hai jab tum aayee thi mere ghar
Aur maine kitchen ki taraf ishara kar ke
Tumko banane bola tha kaali coffee
Tum bhi be-qarari sang lag gayee
Hamare ghar ko banane mein
Jiski neenv wo kaali coffe thi
Tumhe pasand hai na kaali coffee?
Kayee baar WhatsApp par chat karte-karte
Chat chal rahi hoti hai aur
Achanak se ladki gayab ho jaati hai
Fir kuch der baad reply karti hai
Aise mein ladke ne usko message kiya
Ye jo beech mein yun chali jaati ho
Ye jo beech mein yun chali jaati ho
Jaana padta hai ya jaana chahti ho?
Tab tak mein ladki wapas online aati hai aur inse usko dubara message kiya
Ab jo aayee ho
Ab jaaogi toh nahi?
Sab sahi chal raha tha par achanak se ek din
Ladki kahin chali gayee
Na koi baat
Na koi khat
Bas achanak se gayab
Ik raat
Ladka chup-chap apni balcony mein baith kar
Kuch soch raha tha
Aaj yun hi na jaane kahan se
Mann mein mere ek khayal aaya
Ki tum jab bhi kahin bahar jaati hogi
Apne shahar mein naye logon se milti hogi
Kisi ko likhte toh kisi ko gunagunate sunti hogi
Toh kya tum mujhe yaad karti hogi?
Kisi ko khud ki tasveer banate dekhti hogi
Kisi ko mohabbat jatate dekhti hogi
Kisi ko gir kar uthte dekhti hogi
Kisi ko apne liye ladte dekhti hogi
Toh kya tum mujhe yaad karti hogi?
Aksar isi khayal mein gum
Tumhari yaad mein jeeta raha hun main
Aaj yunhi na jaane kahan se
Mann mein mere ek khayal aaya
Ki kya tum mujhe yaad karti hogi?
Mahine beette gaye aur
Ladka sanjeeda hota raha
By the way ye mere dost ki kahani hai
Main toh bas suna raha hun
Maine ek kitaab likhi thi pichle saal
Nazm-e-Qaasid ke naam se
Jisme Qaasid mera takhallus hai aur
Qaasid shabd ka arth hota hai messenger, sandeshvahak
Toh maine apne dost ko ye samjhaya
Mohabbat ka ek usool hota hai janaab
Mohabbat ka ek usool hota hai janaab
Ki mohabbat bas ki jaati hai, li nahi jaati
Wo ja rahe hain toh jaane do Qaasid
Wo ja rahe hain toh jaane do Qaasid
Suna hai subah ka bhoola shaam ko ghar laut hi aata hai
Ek roz ki baat hai ladke ne kisi social media par
Ladki ki nayee profile dekhi
Jisme wo mangal sutra aur sindoor mein thi
Kaafi disappointed ho gaye sab
Waqt tham sa gaya tha
Kyunki iska dil toot jo gaya tha
Fir isne do nazmon mein apne jazbaaton ko bayan kiya
Ishq mein ibadat humne bhi beshumar kiya
Ishq mein ibadat humne bhi beshumar kiya
Aur wo laute zarur magar mahboob ke saath
Hazaron ghazalen likhi thi uske naam par
Hazaron ghazalen likhi thi uske naam par
Magar aaj unko gaata koi aur hai
Kabhi-kabhi kuch cheezein waqt ke saath
Itni gehri ho jaati hain ki zakhm bharne layak nahi rahta
Ab ladki ko gayab hue kuch saal ho gaye the
Ladke ne apne saare jazbaat
Apne do khaas doston ko ek khat likh kar bayan kiya
Usme usne kaha
Achha ab suno
Mere nahi rehne par
Mere ghar aate rehna
Jo kuch jaise bhi hai
Usko waise hi bachaye rakhna
Gandagi na ho isliye saaf-safai karate rehna
Shayad hawa aakar khat-khataye mera darwaza kahin
Shayad ye puche ki kuch dino se main dikha nahi
Usko sach mat batana bikhar jaayegi
Chup-chap uski aankhon mein dekhna samajh jaayegi
Fridge hamesha chalu hi rehta hai uska istemaal karte rehna
Mere bistar par jo chaadar bicha hai usko badalte rehna
Mere kapdon ko rakhna meri yaad mein
Zarurat ho kisi ko toh usko pehenne dena
Kamre mein ek paudha rakha hai mej par
Us mein paani daalna, dhoop dikhate rehna
In sab kaamon mein thak jaao toh aaraam kar lena
Bartan pade hain kitchen mein kuch bana lena
Ek aur zaroori baat ka khaas dhyan rakhna
Almari mein kuch kaagzaat rakhe hain unko sambhaal kar rakhna
Makaan ke dastaavez tum papa ko dena
Kuch nazm pade mile toh us tak pahuncha dena
Kehna main khud nahi aa paaya use nazm kahne
"Kuch zaroori kaam tha, jaana pada use maaf kar dena"
Kuch tohfe bhi milenge tumko kisi daraaj mein
Meherbaani karna, us tak pahucha dena
Uski khushi ko dhyan se dekhna
Agar roye toh usko hausla dena
Kehna main theek hun yahan koi dikkat nahi
Aata rahunga milne usse khwabon mein kahin
Ye saari baatein tum ek kaagaz par likh kar
Mere takiye ke neeche rakh dena
Kabhi bhatakta hua agar main aaya
Toh mujhe akela rehne dena
Meri tasveer tangi hogi ek deewar par
Us par haar mat chadhne dena
Meri baatein karna, mere pyaar ke qisse sunana
Sab ki yaadon uske khayalon mein mujhe marne mat dena
Shayad yahan se ab laut na paaun main
Shayad yahan se ab laut na paaun main
Toh mere nahi rehne par mere ghar aate rehna
Toh mere nahi rehne par mere ghar aate rehna
Shukriya

 Watch: New Singing Lesson Videos Can Make Anyone A Great Singer

Written by: Ashwin Alok

Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics Licensed & Provided by LyricFind

Discuss the Muqammal Qisse (LIVE) Lyrics with the community:

0 Comments

    Citation

    Use the citation below to add these lyrics to your bibliography:

    Style:MLAChicagoAPA

    "Muqammal Qisse (LIVE) Lyrics." Lyrics.com. STANDS4 LLC, 2024. Web. 23 Jun 2024. <https://www.lyrics.com/lyric-lf/14240484/Ashwin+Alok/Muqammal+Qisse+%28LIVE%29>.

    Missing lyrics by Ashwin Alok?

    Know any other songs by Ashwin Alok? Don't keep it to yourself!

    Browse Lyrics.com

    Quiz

    Are you a music master?

    »
    REM: “I thought that I heard you laughing. I thought that I heard you sing. I think I thought I saw you ____”.
    A try
    B fly
    C lie
    D cry

    Free, no signup required:

    Add to Chrome

    Get instant explanation for any lyrics that hits you anywhere on the web!

    Free, no signup required:

    Add to Firefox

    Get instant explanation for any acronym or abbreviation that hits you anywhere on the web!

    Ashwin Alok tracks

    On Radio Right Now

    Loading...

    Powered by OnRad.io


    Think you know music? Test your MusicIQ here!