KHAYAAL

Sameer Asim

0 fans

Sameer Asim


3:13

 Struggling with KHAYAAL? Become a better singer in 30 days with these videos!

Jab mujhe Farq Parra Jan'an tere Aane se
To tu bata kese na parta tere jaane se
Thi wajah har ek tujhpe likhe gaye gaane ki
Sunke puch le tu khud hi wajah gaane se

Han tujhpe Bewajah Bhi Likhe Gaane Maana Maine
Par saare likhe dil se, jaanti tu Jaana'n maine
Ajeeb se hain waise Dard Ab Is Dil k bhi
Khatam hi nahin hote ye Jana'n tujhse mil k bhi


Mein teri aankhon se samajh jaata houn baaten teri
Par iska matlab ye nai k tu baat hi na karre
Han teri Yaad mein maza ha mulaaqaat ka
Iska matlab ye nai tu mulaaqaat hi na karre

Mein Chal para Teri taraf Bina Soche kiun
Sunta nahin kisi ki mein koi mujhe phir roke kiun
Meri khushi thi hamesha se Teri hi khushi mein
Toh tere jaane pe jana'n bata hum Rote Kiun?

Safar mubarak ho tumhaara tumhe
Kho chuke ho hum nai milenge ab dobaara tumhe
Jis dil se dilbar nai nikalti thi ek yaad teri
Us dil se dilbar soch humne ha nikaala tumhe

Hoke door Bhi hain Paas Hum
Hamesha Bathak jaate hain jese raston ko nai raas hum
Aik Hi Baan'tTe hain raaz hum
Roz jhoot bolen sabse aate nahin baaz hum


Kinaara dhund, tu jaa ab mujhe doobne de
Sahaara na de meri jaan mujhe tootne de

Roothne de mere dil ko mujhse chaahe
Par mein bilkul nai chahta k wapis ab tu aaye

Ha Khudaa gawah , meri har aik baat ka
Bina manzil maine chuna teraa raasta
Tune pucha hi nai haal mujhse kal mera
To kia bataoun mein ab haal tujhe aaj ka

Main apni haar ka soch raha kisse dosh doun
Ya phir kojh apni bahanoun ki rok doun

Khair zindagi ha, Chalta ha
Kisi k bichar jaana kahan koi bhi Jana'n marta ha

Tu bhi nahin karti baat ab
Mein bhi jaag kar guzaaroun likhoun gaane saari raat ab
Kaash ab bhi tu hoti yahan,
Mein sunaata tujhe shayari jo mein kar chuka houn raakh ab

Mere baad mera jesa tujhe milaa kon,
Waade hi nahin kiye tune kare tujhse gilla kon
Tu to lekr Meri wafa dil se jaa rahi rahi ha
Ye to bata wafa ka dega silla kon

Tune jaan kese li ha meri pyaar se
Hum is khel mein to jeet k bhi haar gaye

Izhaar maine kia kya khata thi meri ye bata mein aik hi
Ghalti nahin karna chahta tha is dafah

Tujhe yaad kare dil lagataar, sawa chaar, ankhen laal,
Or ye dil be qaraar
Tujhe Khayaal hi nahin meri zindagi ka
Tu meri jagah aakr ek din guzaar

Beete saal phir bhi loog tera puchte hain haal
Mein izhaar kese kroun ab jo dil ka ha haal

Zawaal ka malaal nai ha, malaal haar ka ha
Zinda houn tere bina ye khayaal marta ha

Mujhe yaad ha wo kal tak aas paas thi
Baaten chupaata kam houn par wo mera raaz thi
Kese rang laayengi , Duaaen meri tu bata
Namaaz mein kal Bhool gaya kon si rakaat thi

Saari raat notepad meri screen pe
Wo jo beet gaye lamhe kitne haseen the
Pyaar se hi kaha tha k pyaar thora chahiye
Ghar hi torr gaye jo ghar k makeen the

 The easy, fast & fun way to learn how to sing: 30DaySinger.com

Written by: Sameer Asim

Lyrics © O/B/O DistroKid

Lyrics Licensed & Provided by LyricFind

Discuss the KHAYAAL Lyrics with the community:

0 Comments

    Citation

    Use the citation below to add these lyrics to your bibliography:

    Style:MLAChicagoAPA

    "KHAYAAL Lyrics." Lyrics.com. STANDS4 LLC, 2024. Web. 31 May 2024. <https://www.lyrics.com/lyric-lf/14094650/Sameer+Asim/KHAYAAL>.

    Missing lyrics by Sameer Asim?

    Know any other songs by Sameer Asim? Don't keep it to yourself!

    Browse Lyrics.com

    Quiz

    Are you a music master?

    »
    "Say It Right" is a song by which female pop artist?
    A Nelly Furtado
    B Mandy Moore
    C Jessica Simpson
    D Katherine Mcphee

    Free, no signup required:

    Add to Chrome

    Get instant explanation for any lyrics that hits you anywhere on the web!

    Free, no signup required:

    Add to Firefox

    Get instant explanation for any acronym or abbreviation that hits you anywhere on the web!

    Sameer Asim tracks

    On Radio Right Now

    Loading...

    Powered by OnRad.io


    Think you know music? Test your MusicIQ here!