Mera Humraaz (feat. Rooh)

Critter Purush

0 fans

Critter Purush


4:48
#1

 The easy, fast & fun way to learn how to sing: 30DaySinger.com

Itni saari baatein aur ek mulakaat
Itni saari yaadien par ek hi thi khaas
Pyaar ka sila ka jab hua tha aagaaz
Aur mere liye tu bana tha mera humraaz
Par pata nahi chala kaise badle haalat
ki aaya na mai raas, tujhe ab jaake hua ehsaas?
Raha na tera khaas, jo bhi tha wo bakwaas?
Aise kaise badle ye teri dil ki awaaz?
Kaisi, teri bimari kya hai iska ilaaj?
Kaisi, teri ye naadaani jo na tujhe aiteraaz?
Kaisi, teri ye naadaani ya tu hai hi kalabaaz?
Kaisi, teri ye naadaani ya koi gehri hai raaz ?
Huh?
Tha gehra kitna pyaar tujhe dikha tha na?
Meri diary me naam apna likha tha na?
Scooty chalana seekha tha na?
Unknown no. se jo call aaya tha wo to usi ka tha na?
Haan phir bhi mai to chup rha
Andar se ghunt rha,
Chehre pe dikhaya ke mai khuss rha
Daga diya uska dukh rha
Maaf karta rha, tujhe laga ki mai tere aage jhuk rha!?
Chalo mana ki hoti hai galati
Kabhi kabhi apni kabhi kisi ki nahi chalti
Aur zindagi aise hai dhalti
Kaise khabar hogi hame pal pal ki?
Hmm?
Kya tola tune pyaar pagali?
Ya phir tola tune bhaau iss shakal ki?
Shayad tera sab kucch hai nakali
Thikana lagne laga tere akal ki
Abhi kaafi saari baatein mere kehne ko hai
Kahan pata tha ki abhi itna sehne ko hai
Kahan pata tha ghar mere dehne ko
Toota dil dooba, baaki sab kucch dehne ko aur
Itni saari baatein aur ek mulakaat
Itni saari yaadien par ek hi thi khaas
Pyaar ka sila ka jab hua tha aagaaz
Aur mere liye tu bana tha mera humraaz
Haan
Fakeer na, akal se mai seedhi karu baat
Par rab se zayda ab tu hi rhe yaad
Badnaam ye kalaam, mere nazm be awaam
Mil jaye meri rooh, mujhe milega aaraam na
Sanam, O wafa, ab roz dikhta hai
Raanjha teri yaad me ab kaseede likhta hai
Par tere kaano me kaise jaye ye awaaz?
Zazbaat dekh, sare aam bikta hai
Dil me toofaan chale
Peeth picche chal chale
Rooh hua raanjha, heer kaise na gumaan kare?
Andar bhara khalipan
Dil me mere raakh jale
Haayaat se door, aur maut mere saath chale
Silsile aise na, tere bina saans chale
Waqt de gawah, haadson se kaise saath mile?
Khusiyon se door, ghum se mere haath mile
Barson se sookha pada mujhe barsaat mile
Rakhu baaton ka hisaab mai bhi bilkul poora poora
Jab se gayi hai door mai rahoon aadha adhoora
Aankhon me neend nahi khwaaboon me tera hi pehra
Khud ko bhi bhool jata jab dikhta sunhere chehra
Aankhein hai laal mere shabd ye sawaal karte
Khona tha tujhko, bewajeh nahi the darte
Marte hai aaj, naa hai wo mere saath bhai
Kar khuda aye karam aajaab se aazaad karde
Mai teri yaadoon ke asar me aise jee raha
Dikhta hu bikhra udaasiyon ko pee raha
Tujhpe hi jaan deta, Sapno ko udaan deta
Choona hai aasmaan aur tujhko apna chaand kehta
Mausam ke the waadein par tu nahi hai paas
Dede saza mujhko ya dede mera saath
Jaali ye zamana tujhe kare barbaad par
Har dua me tera maangu saath
Itni saari baatein aur ek mulakaat
Itni saari yaadien par ek hi thi khaas
Pyaar ka sila ka jab hua tha aagaaz
Aur mere liye tu bana tha mera humraaz
Haan
Dalilein de rha hu ab poore samaaj me
Apni kahaniyon ko gaano ke libaas me
Hoke hataash kabhi dekhu mai aakaash me
Ki jaane kaise karunga ab kisi pe vishvaash mai?
Samaye bitaya tha jo teri hi talaash me
Aur jitna kiya tere liye uss ullaas me
Agar hota pehle thoda bhi aabhaas
To phir na banne deta uska aisa parihaas mai
Kashish wo hone lagi, Hame Duboone lagi
Jab mere aansuon se unko khusi hone lagi
Sarhadein paar the ya phir rhe hum ek hi gali
Bheje paigaam jisme mere saar ho hi nahi
Samjhaute hote wahin, jahan jeetoge tum
Matlab iss pyaar ka naa jaane kab seekhoge tum
Bina karaar ke chale gaye ho zindagi se
Safai maangu to mujhpe hi aa cheekhoge tum aur
Itni saari baatein, aur ek mulakaat
Itni saari yaadien, par ek hi thi khaas
Pyaar ka sila ka jab hua tha aagaaz
Aur mere liye tu bana tha mera humraaz
Itni saari baatein, aur ek mulakaat
Itni saari yaadien, par ek hi thi khaas
Pyaar ka sila ka jab hua tha aagaaz
Aur mere liye tu bana tha mera humraaz

 Watch: New Singing Lesson Videos Can Make Anyone A Great Singer

Written by: Gunjan Sinha, Nityam Kumar

Lyrics © DistroKid

Lyrics Licensed & Provided by LyricFind

Discuss the Mera Humraaz (feat. Rooh) Lyrics with the community:

0 Comments

    Citation

    Use the citation below to add these lyrics to your bibliography:

    Style:MLAChicagoAPA

    "Mera Humraaz (feat. Rooh) Lyrics." Lyrics.com. STANDS4 LLC, 2024. Web. 21 Jun 2024. <https://www.lyrics.com/lyric-lf/12702951/Critter+Purush/Mera+Humraaz+%28feat.+Rooh%29>.

    Missing lyrics by Critter Purush?

    Know any other songs by Critter Purush? Don't keep it to yourself!

    Browse Lyrics.com

    Quiz

    Are you a music master?

    »
    Which song was first sang by the band AJR?
    A Burn the House Down
    B Bang!
    C I'm Ready
    D Way Less Sad

    Free, no signup required:

    Add to Chrome

    Get instant explanation for any lyrics that hits you anywhere on the web!

    Free, no signup required:

    Add to Firefox

    Get instant explanation for any acronym or abbreviation that hits you anywhere on the web!

    Critter Purush tracks

    On Radio Right Now

    Loading...

    Powered by OnRad.io


    Think you know music? Test your MusicIQ here!