Song parody of

Aadminama (feat. praosh)

by khaaksaar

Here's where you get creative! Use our cool song parody creator to make a totally new musical idea and lyrics for the Aadminama (feat. praosh) song by khaaksaar.

Simply click on any word to get rhyming words suggestion to use instead of the original ones. You may also remove or alter entire lines if needed — when you're done save your work and share it with our community — have fun!

  • English (English)
  • Français (French)
  • Español (Spanish)

Duniyā meñ bādshah hai so hai vo bhī aadmī Aur muflis-o-gadā hai so hai vo bhī aadmī Zardār-e-be-navā hai so hai vo bhī aadmī Nemat jo khā rahā hai so hai vo bhī aadmī Baithe haiñ aadmī hī dukāneñ lagā lagā Aur aadmī hī phirte haiñ rakh sar pe khomchā Kahtā hai koī lo koī kahtā hai lā re lā Kis kis tarah kī becheñ haiñ chīzeñ banā banā Naache hain aadmi hi baja taaliyon ko maar Aur admi hi daale hain apne izaar utaar Nanga khada uchalta hai, hokar zalilo khwaar Sab aadmi hi hanste hain, dekh usko baar baar Masjid bhī aadmī ne banā.ī hai yaañ miyāñ Bante haiñ aadmī hī imaam aur ḳhutba-ḳhvāñ PaḌhte haiñ aadmī hī qur.ān aur namāziyāñ Aur aadmī hī un kī churāte haiñ jūtiyāñ Yaañ aadmī hī shādī hai aur aadmī biyāh Qaazī vakīl aadmī aur aadmī gavāh Tashe bajāte aadmī chalte haiñ ḳhvāh-maḳhvāh Daude haiñ aadmī hī to mash.al jalā ke raa Chaltā hai aadmī hī musāfir ho le ke maal Aur aadmī hī maare hai phāñsī gale meñ Daal Yaañ aadmī hī said hai aur aadmī hī jaal Sachchā bhī aadmī hī nikaltā hai mere laal Yaan aadmi hi naar hai, aur aadmi hi noor Yaan aadmi hi paas hai, aur aadmi hi noor Kul aadmi ka husno kabah me hai yaan zahoor Shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makrojoor Yaañ aadmī pe jaan ko vaare hai aadmī Aur aadmī pe teġh ko maare hai aadmī PagḌī bhī aadmī kī utāre hai aadmī Chillā ke aadmī ko pukāre hai aadmī Yaan admi naqeeb ho, bole hai baar baar Aur admi hi pyade hai aur admi sawaar Huqqa suraahi jootiyaan daude bagal me maar Kandhe pe rakhke palki hai admi kahaar Ek aadmi hain jinke kuch ye zark bark hain Rupe ke unke paanv hain, sone ke farq hai Jhumke tamam gab se le ye taba shark hain Kamkhwab taash shaal doshalon me gark hain Ek aise hain ki jinke biche hain naye palang Phoolon ki sej unpe jhamakti hai taza rang Sote hain lipte chaati se masooq shokhon sang Sau sau tarah se aish ke karte hain rang dhang Marne pe Aadmi hi kafan karte hain tayyar Nehla dhula uthaate hain kaandhe pe kar sawaar Kalma bhi padhte jate hain rote hain zaar zaar Sab aadmi hi karte hain murde ka kaarobaar

Done creating your parody?

Don't keep it to yourself! Save it now so you can share it with the rest of the world!

Quiz

Are you a music master?

»
Where was uncle Sam according to Hawkwind?
A On Mars
B On the Moon
C In his grave
D On holiday

Free, no signup required:

Add to Chrome

Get instant explanation for any lyrics that hits you anywhere on the web!

Free, no signup required:

Add to Firefox

Get instant explanation for any acronym or abbreviation that hits you anywhere on the web!

khaaksaar tracks

On Radio Right Now

Loading...

Powered by OnRad.io