Soz-e-Gam De Ke

by Ghulam Ali




سوزِ غم دے کے مُجھے اُس نے یِہ اِرشاد کِیا 
جا تُجھے کشمکشِ دَہر سے آزاد کِیا 
Soz-e-ġam de ke mujhe us ne ye irshād kīā 
Jā tujhe kashmakash-e-dahr se āzād kīā 

اِسکا رونا نہیں کیُوں تُم نے کِیا دِل برباد 
اِسکا غم ہے کِہ بَہُت دیر میں برباد کِیا
Iskā ronā nahīṅ kyūṅ tum ne kīā dil barbād 
Iskā ġam hai ki bahut der meṅ barbād kīā

وُہ کریں بھی تو کِن الفاظ میں شِکوہ تیرا 
جِن کو تیری نِگۂ لُطف نے برباد کِیا 
Wuh kareṅ bhī to kin alfāz meṅ shikwā terā
Jinko terī nigah-e-lutf ne barbād kīā

دِل کی چوٹوں نے کبھی چَین سے رہنے نہ دِیا 
جب چلی سرد ہوا میں نے تجھے یاد کیا 
Dil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne nā dīā 
Jab chalī sard hawā maiṅ ne tujhe yād kīā 

مُجھ کو تو ہوش نہیں تُمکو خَبَر ہو شاید 
لوگ کہتے ہَیں کِہ تُم نے مُجھے برباد کِیا 
Mujhko to hosh nahīṅ tumko ḳhabar ho shāyad 
Log kahte haiṅ ki tum ne mujhe barbād kīā

اَے مَیں سَو جان سے اِس طرزِ تکلُّم کے نِثار 
پِھر تو فرمائیے کیا آپ نے اِرشاد کیا
Ai maiṅ sau jān se is tarz-e-takallum ke nisār 
Phir to farmāīe kyā āp ne irshād kīyā

کُچھ نہیں اِس کے سِوا جوشؔ حریفوں کا کلام 
وَصل نے شاد کِیا ہِجر نے ناشاد کِیا 
Kuchh nahīṅ is ke siwā Josh harīfoṅ kā kalām 
Wasl ne shād kīā hijr ne nāshād kīā

Written by: Josh Malihabadi

Submitted by: gabrealmeh on August 08, 2020

© Lyrics.com