kuch Bhi Main Toh Nahi Kuch bhi main toh nahin, prabhuji sab kuch hai tu hi.. Tere bin kuch bhi na kar sakta, jo bhi karta..tu hi karta, jo bhi karta..tu hi karta Tere bin saans na le sakta, tere bin ek kadam bhi na chal sakta…. Jo bhi hoon prabhu sach main tu hi hoon Abhari hoon prabhu sab tu hi, sach toh yeh main kuch bhi nahin.. Kuch bhi main toh nahin, prabhuji sab kuch hai tu hi, Tere bin kuch bhi na kar sakta, jo bhi karta..tu hi karta, jo bhi karta..tu hi karta… Tann Badan yeh kya hai, kuch bhi nahin hai Anth mein toh hoon bas mitti Saans jo mila hai, teri kripa hai Marne pey maloom main kuch nahin Atman main hoon, sach mein Parmatma Main kuch na prabhu, sach mein tu hi hoon Tumse main prakat hua hoon, tum bin na ,main toh kuch bhi nahin , main yeh jaanu … Tum bin main kuch nahin.. main yeh maanu … Kuch bhi main toh nahin, prabhuji sab kuch hai tu hi, Tere bin kuch bhi na kar sakta, jo bhi karta..tu hi karta, jo bhi karta..tu hi karta Dikhne mein yeh hoon, sach mein nahin hoon Sach mein to bas hun ek Shakti, Naam hai mera, kaam hai mera, par sab ye khwab hai ..sach nahin Duniya ye toh maya hai ye mithya hai, Main kuch nahin prabhu sab kuch tuhee hai, Ehsaas hone pe yeh maloom hota hai, Lagne mein main yeh hoon, par yeh nahin Sach mein to main hoon kuch bhi nahin. Paanch tatwon ka bana, main ek putla Par jo Shakti hai , woh hai tuhi Shakti bina yeh, kuch bhi nahin hai Maloom hota jab uthti arthi Maut pe toh sachai ,maloom hoti Tann toh marta hai aatma nahi marti Tann toh mitti ho jata, amar aatma Aatma toh tuhi hai , sab tuhi… Main toh tha sach mein kuch bhi nahin Kuch bhi main toh nahin, prabhuji sab kuch hai tu hi.. Tere bin kuch bhi na kar sakta, jo bhi karta..tu hi karta, jo bhi karta..tu hi karta Tere bin saans na le sakta, tere bin ek kadam bhi na chal sakta…. Jo bhi hoon prabhu sach main tu hi hoon Abhari hoon prabhu sab tu hi, sach toh yeh main kuch bhi nahin.. Kuch bhi main toh nahin, prabhuji sab kuch hai tu hi, Tere bin kuch bhi na kar sakta, jo bhi karta..tu hi karta, jo bhi karta..tu hi karta…
Written by: Air Atman In Ravi
Submitted by: Airatmaninravi on September 25, 2019
© Lyrics.com